salim yaqin-e-azmat-e-sehr-e-ḳhuda na toḌ
mayus ho ke kasa-e-dast-e-dua na toḌ
shiraza-e-hayat bikhar ja.ega mira
ai sang-zad shisha-e-ahd-e-vafa na toḌ
kuchh aur hone de rah-e-manzil ko tez-gam
ai ḳhizr tu abhi miri zanjir-e-pa na toḌ
teshe ki zarb sah nahin sakta har ik vajud
aazar har ek paikar-e-sang-e-ana na toḌ
chehre ki silvaTon ka sabab aa.ina nahin
nachargi-e-umr-e-ruḳh-e-a.ina na toḌ
is mutrib hayat men zinda hai ragni
ruk mutriba abhi tu ye saz-e-sada na toḌ
bedar ho na jaa.en badan ki zaruraten
ai shauq-e-be-panah fasil-e-haya na toḌ
‘salim’-shuja.a maut ki hai aarzu haram
a.ina-e-hayat ko yuun be-ḳhata na toḌ
Leave a Reply