azal ke qissa-go ne dil ki jo utari dastan
kahin kahin se us ne to bahut sanvari dastan
hua se jo sairbin purane mausamon ki hai
suna suna ke thak ga.i miri tumhari dastan
kisi ka saaya rah gaya gali ke ain moḌ par
usi habib saa.e se bani hamari dastan
miri jabin pe sanehat ne likhi hain arziyan
ye arziyan hain hasraton ki ek bhari dastan
dil-e-ḳharab-o-ḳhasta par nazar na tu ne ki bahal
ki us makan ki tere gosh sau guzari dastan
Leave a Reply