ujaḌ kar bhi nishan-e-gulsitan ḳhud ko samajhta huun
lahu deta huun is ko baghban ḳhud ko samajhta huun
kamal-e-sher rakhta huun javan ḳhud ko samajhta huun
hamesha se junun ka raz-dan ḳhud ko samajhta huun
sada main dil ki sunta huun to karta bhi huun man-mani
vo nadan huun ki phir vaj.h-e-ziyan ḳhud ko samajhta huun
nikala mujh ko jannat se ḳhuda ki mehrbani ne
lihaza aaj tak ḳhuld-ashiyan ḳhud ko samajhta huun
main zinda huun hazaron zaḳhm kha kar bhi mohabbat men
na jaane kyuun main apna mehrban ḳhud ko samajhta huun
huun varis qais ka aur asr ki laila ka huun ashiq
zamane men vafa ki dastan ḳhud ko samajhta huun
bana kar shaḳh-e-nazuk par nasheman chaar tinkon ka
chaman men sirf ahl-e-ashiyan ḳhud ko samajhta huun
main apni maut se Darta nahin huun is liye ‘jami’
sada azad zer-e-asman ḳhud ko samajhta huun
mire ash.ar ḳhud hi hain mira nam-o-nishan ‘jami’
magar main to tira nam-o-nishan ḳhud ko samajhta huun
Leave a Reply