chand tanha hai asman tanha
dil mila hai kahan kahan tanha
bujh gai aas chhup gaya taara
thartharata raha dhuan tanha
zindagi kya isi ko kahte hain
jism tanha hai aur jaan tanha
ham-safar koi gar mile bhi kahin
donon chalte rahe yahan tanha
jalti-bujhti si raushni ke pare
simta simta sa ik makan tanha
raah dekha karega sadiyon tak
chhod jaenge ye jahan tanha
Leave a Reply