jigar ke tukde hue jal ke dil kabab hua
ye ishq jaan ko mere koi azaab hua
kiya jo qatl mujhe tum ne khuub kaam kiya
ki main azaab se chhuta tumhen savab hua
kabhi to shefta us ne kaha kabhi shaida
gharaz ki roz naya ik mujhe khitab hua
piyun na rashk se khuun kyunki dam-ba-dam apna
ki saath ghair ke vo aaj ham-sharab hua
tumhare lab ke lab-e-jam ne liye bose
lab apne kaata kiya main na kamyab hua
gali gali tiri khatir phira ba-chashm-e-pur-ab
laga ke tujh se dil apna bahut kharab hua
tiri gali men bahae phire hai sail-e-sarishk
hamara kasa-e-sar kya hua habab hua
javab-e-khat ke na likhne se ye hua malum
ki aaj se hamen ai nama-bar javab hua
mangai thi tiri tasvir dil ki taskin ko
mujhe to dekhte hi aur iztirab hua
sitam tumhare bahut aur din hisab ka ek
mujhe hai soch ye hi kis tarah hisab hua
‘zafar’ badal ke radif aur tu ghazal vo suna
ki jis ka tujh se har ik sher intikhab hua
Leave a Reply