jo jal uThi hai shabistan men yaad si kya hai
ye jhilmilahaTen kya hain ye raushni kya hai
kisi se tark-e-ta.alluq ke ba.ad bhi milna
bura zarur hai lekin kabhi kabhi kya hai
ab apne haal pe ham dhyan hi nahin dete
na jaane be-ḳhabari hai ki agahi kya hai
yahi saval nahin hai faqat ki ham kya hain
ye ka.enat hai kya aur zindagi kya hai
hansi jo dekh rahe ho hamare honTon par
zaban-e-hal se ik chiḳh hai hansi kya hai
‘shu.ur’ abhi se ye ḳhush-fahmiyan ye ummiden
abhi to sirf mulaqat hai abhi kya hai
Leave a Reply