• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe

Safar Mein Rasta Jo Pur-KHatar Mila Tha Mujhe

safar men rasta jo pur-ḳhatar mila tha mujhe

bahut hi ḳhuub tha kyuun rahbar mila tha mujhe

jahan men jab koi jins-e-garan-shanas na tha

to itna besh-baha kyuun guhar mila tha mujhe

phir us ke ba.ad mira sar raha na shanon par

dayar-e-ishq men vo sang-e-dar mila tha mujhe

main ta-hayat farishton ke par kutar leta

jigar ka dard magar muḳhtasar mila tha mujhe

chaman men yar-e-sharar-bar ki ḳhuda.i men

shajar mila tha na koi samar mila tha mujhe

jo chahta use main bhi tabah kar deta

usi ke qurb men aisa hunar mila tha mujhe

suna tha sura-e-iḳhlas main ne aazar se

sanam-kade men ḳhuda ka hi ghar mila tha mujhe

hai mo.ajiza ki vo sidra maqam tak pahuncha

jo ek ta.ir-e-be-bal-o-par mila tha mujhe

ye meri abla-pa.i mujhe mubarak ho

vo din yahi tha ki izn-e-safar mila tha mujhe

kabhi ‘bashir’ ko main ne junun men dekha tha

ajiib sahab-e-fahm-o-nazar mila tha mujhe

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-nadeem-qasmi

Mear

azra-abbas

Aawaz Girti Hai

Sari Raat Ke Bikhre Hue Shiraaze Par Rakkhi Hain

kaDa Hai Din baDi Hai Raat Jab Se Tum Nahin Aae

poet

Jahan Ashk-E-Hasrat Rawan chhoD Aae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 · Urdu Poet