kahta huun main ki ghair ne hargiz kaha nahin
tujh ko na ho qubul jo meri dua nahin
in paniyon kisi ko Dubo.e na sharm-e-shauq
main aab aab us ki taraf dekhta nahin
sau ruḳh se chumta hai tira pairahan ḳhayal
sab men huun meri jaan ye mauj-e-hava nahin
hairan khaḌa huun vasl-e-juda.i ke darmiyan
main kis shumar men huun agar a.ina nahin
guzra mire darun se tu hi ba-rang-e-umr
ab jaane vo darun bhi mera tha ya nahin
chuTki mahak uThi hai ye kaisi umiid ki
ab tak to dastaras men vo band-e-qaba nahin
kam-o-dahan ko baḳhsh chuka hai jo pahle niib
ab shahd sher de bhi to koi maza nahin
Leave a Reply