Jo Mera Hosh Ka Aalam Hai Be-KHudi to Nahin

jo merā hosh kā aalam hai be-ḳhudī to nahīñ

maiñ jis ko apnā samajhtā huuñ ajnabī to nahīñ

ḳhudā-garī kā ye māhir kuchh aur hī shai hai

tum aadmī jise kahte ho aadmī to nahīñ

ye aur baat hai mahrūm-e-iltifāt huuñ maiñ

tire karam ke ḳhazāne meñ kuchh kamī to nahīñ

subūt miltā hai us se kisī ta.alluq kā

kamāl-e-barhamī-e-dost dushmanī to nahīñ

nigāh-o-dil meñ bhī lāzim hai ik muravvat-o-kaif

numūd-e-āriz-o-gesū hī dilbarī to nahīñ

nuzūl-e-barq hai shāyad ye āshiyānoñ par

tū raushnī jise samjhā hai raushnī to nahīñ

tumhāre chehre pe āsār haiñ ḳhushī ke magar

jo mere chehre se zāhir hai vo ḳhushī to nahīñ

piye sharāb ibādat-guzār hue ai shaiḳh

magar huzūr ye shāyān-e-bandagī to nahīñ

na jaane kyuuñ mire dil ko yaqīñ nahīñ aatā

jo tū ne jalva dikhāyā hai aarzī to nahīñ

sunā hai tauba se hotā hai tāza-tar īmāñ

hazār shukr ki ye āriza abhī to nahīñ

tabāhiyoñ ke liye musta.id haiñ ahl-e-jahāñ

ye āgahī kahīñ tauhīn-e-āgahī to nahīñ

bas ek marg-e-musalsal bas ek rañj-e-davām

kuchh aur shai hai ye ai ‘arsh’ zindagī to nahīñ

Leave a Comment