main hua tera majra tu mira majra hua
vaqt yunhi guzar gaya vaqt ke ba.ad kya hua
kaisa guzishta din tha jo phir se guzarna paḌa
dhuup bhi thi bachi hui saaya bhi tha bacha hua
sub.h ke saath jaa.e kaun shaam ko le ke aa.e kaun
raat ka ghar basa.e kaun hai koi jagta hua
ek makan men kuchh hua baat suni na ja saki
log gali gali se ab puchh rahe hain kya hua
pakḌa gaya tha kya karun shauq tha ye gaḌha bharun
sub.h tulua ka hua shaam ghurub ka hua
sahn men charpa.i par baiTha hua huun der se
lamhon ka mas.ala huun aur sadiyon se huun mila hua
aise men bhi ajab nahin ji sakun aur mar sakun
apne ḳharab o ḳhuub ka hairati huun to kya hua
yuun hi to chup nahin huun main koi to baat hai zarur
ye jo qaza hua hai ḳhvab sajda tha jo qaza hua
aur main baaqi rah gaya baten banane ke liye
meri tarah ka ek shaḳhs tere liye fana hua
Leave a Reply