main tire shahr men aaya to Thahar ja.unga
saya-e-abr nahin huun ki guzar ja.unga
jazba-e-dil ka vo aalam hai to insha-allah
dard ban kar tire pahlu men utar ja.unga
mahz bekar na samjhen mujhe duniya vaale
zindagi hai to koi kaam bhi kar ja.unga
de ke avaz to dekhe shab-e-tarik mujhe
raushni ban ke fazaon men bikhar ja.unga
chhoḌ ai raunaq-e-bazar mira daman-e-dil
shaam angan men utar aa.i hai ghar ja.unga
main mujahid huun kisi se nahin Darta lekin
samna ḳhud ka jo ho jaa.e to Dar ja.unga
raste saaf hain sab fazl-e-ḳhuda se ‘mahir’
koi divar na rokegi jidhar ja.unga
Leave a Reply