Yun to Sab Duniya Mein Duniya Har-Ik Mahfil Mein Hai

yuuñ to sab duniyā meñ duniyā har-ik mahfil meñ hai

maiñ huuñ jis duniyā meñ vo duniyā tumhāre dil meñ hai

is haqīqat se bhī ai arbāb-e-sāhil hoshiyār

ek nā-mālūm tūfān parda-e-sāhil meñ hai

be-ḳhabar haiñ qāfile vaale abhī is raaz se

manzil-e-maqsūd rāhoñ meñ nahīñ hai dil meñ hai

maiñ ne hī kuchh soch kar us ko batā dī rāh-e-dost

varna is manzil meñ kab thā ishq jis manzil meñ hai

tum mirī jānib agar dekho to maiñ kuchh bhī nahīñ

maiñ agar dil kī taraf dekhūñ to sab kuchh dil meñ hai

ab to ‘anjum’ saarī duniyā gosh-bar-āvāz hai

kah bhī do mard-e-ḳhudā jo kuchh tumhāre dil meñ hai

Leave a Comment