• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Nazar Nazar Be-Qarar Si Hai Nafas Nafas Mein Sharar Sa Hai

Nazar Nazar Be-Qarar Si Hai Nafas Nafas Mein Sharar Sa Hai

nazar nazar be-qarar si hai nafas nafas men sharar sa hai

main janta huun ki tum na aaoge phir bhi kuchh intizar sa hai

mire azizo mire rafiqo chalo koi dastan chheḌo

gham-e-zamana ki baat chhoḌo ye gham to ab sazgar sa hai

vahi fasurda sa rang-e-mahfil vahi tira ek aam jalva

miri nigahon men baar sa tha miri nigahon men baar sa hai

kabhi to aao kabhi to baiTho kabhi to dekho kabhi to puchho

tumhari basti men ham faqiron ka haal kyuun sogvar sa hai

chalo ki jashn-e-bahar dekhen chalo ki zarf-e-bahar janchen

chaman chaman raushni hui hai kali kali pe nikhar sa hai

ye zulf-bar-dosh kaun aaya ye kis ki aahaT se gul khile hain

mahak rahi hai faza-e-hasti tamam aalam bahar sa hai

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

abdul-ahad-saaz

Mutazad Zawiye

Kuchh Log Jo Hasil Hon Ganwae Nahin Jate

poet

Tazkira chheD Diya Aapne Kyon Jaane Ka

Qillat KHulus Ki Hai Mohabbat Ka Kal Hai

afroz-alam

Hisar-e-did Mein Roidagi Malum Hoti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet