ye mo.ajiza bhi kisi roz kar hi jaana hai
tire ḳhayal se ik din guzar hi jaana hai
na jaane kis liye lamhon ka bojh Dhote hain
ye jante hain ki ik din to mar hi jaana hai
vo kah raha tha nibha.ega pyaar ki rasmen
main janta tha ki us ne mukar hi jaana hai
hava-e-sham kahan le chali zamane ko
zara Thahar ki hamen bhi udhar hi jaana hai
main ḳhvab dekhta huun aur sher kahta huun
hunar-varon ne ise bhi hunar hi jaana hai
Leave a Reply