• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Sochta Hun Agar Wo Hawa Se Kah Jaun

Jo Sochta Hun Agar Wo Hawa Se Kah Jaun

jo sochta huun agar vo hava se kah ja.un

hava ki lauh pe mahfuz ho ke rah ja.un

ye kya yaqin ki tu mil hi ja.ega mujh ko

tiri juda.i ka jaan leva dik to sah ja.un

ḳhud apne aap ko dekhun varaq varaq kar ke

kisi ke samne ja.un to tah-ba-tah ja.un

khaḌa huun surat-e-divar reg-e-sahil par

zara si mauj bhi aa.e to ghul ke bah ja.un

mire ḳhuda mujhe iz.har ki vo qudrat de

mujhe jo kahna hai ik lafz men hi kah ja.un

harif-e-koshish-e-parvaz hai ye mausam-e-barf

main ashiyan men hi par khol khol rah ja.un

chaTan ban ke bhi kab tak bacha rahunga ‘riyaz’

misal-e-ḳhas abhi sail-e-zaman men bah ja.un

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Charagh-E-Tur Jalao baDa Andhera Hai

Sair-E-Duniya Se Gharaz Thi Mahw-E-Duniya Kar Diya

Riyazaton Ki Tapish Mein Rah Kar Pighal Raha Hun

Tez Jab KHanjar-E-Bedad Kiya Jaega

adil-hayat

Baat Jo Tujhse Zabani Ho Gai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet