vo chehre jo the husn ke tufan ki tarah
kamron men chup hain kaghzi gul-dan ki tarah
ye chand ye bahar ki raten gavah hain
ham ab bhi apne ghar men hain mehman ki tarah
be-shak huzur aap ḳhuda ki tarah rahen
jiine ka haq hamen bhi hai insan ki tarah
main aaj zindagi ki kaḌi manzilon men huun
ḳhud kah raha huun miliye to anjan ki tarah
pahle guman ye tha ki main ḳhud huun raz-e-zist
ab phir raha huun shahr men nadan ki tarah
laao main us ko saghar-e-dil men sambhal luun
botal men ik pari hai miri jaan ki tarah
ghalib ke shahr shahid-o-naghma men ham salam
bikhre paḌe hain ‘mir’ ke divan ki tarah
Leave a Reply