kya DhunDne aa.e ho nazar men
dekha hai tumhin ko umr-bhar men
me.ayar-e-jamal-o-rang-o-bu the
vo jab tak rahe meri chashm-e-tar men
ab ḳhvab-o-ḳhayal ban ga.e ho
ab dil men raho, raho nazar men
vo rang tumhare kaam aaya
uḌta hai jo gham ki dopahar men
haa.e ye tavil o sard raten
aur ek hayat-e-muḳhtasar men
ab surat-e-hal ban gaya huun
milta huun nigah-e-charagar men
ya aur sitare aur shabnam
ya mar rahen daman-e-sahar men
ya manzil-e-mahr-o-mah bhi hai
ya rah-e-farar hai safar men
vo bhi to ‘zafar’ se ḳhush nahin hain
rahte hain jo dida-e-‘zafar’ men
Leave a Reply