din ke saath utar jaati huun
shaam ke paar thahar jaati huun
us se bichhadne ke us pal ko
sochti huun to mar jaati huun
sahra jitni pyaas hai meri
aur ik buund se bhar jaati huun
mera haath ye pakde rahna
main khvabon men dar jaati huun
miyan mohammad main to apni
gagar bhar ke ghar jaati huun
apne aap se haath chhuda kar
main kin raston par jaati huun
Leave a Reply