hasil kisi se naqd-e-himayat na kar saka
main apni saltanat pe hukumat na kar saka
har rang men raqib-e-zar-e-nam-o-nang huun
main vo huun jo kisi se mohabbat na kar saka
ghulta raha hai meri ragon men bhi koi zahr
lekin main is dayar se hijrat na kar saka
paḌta nahin kisi ke bichhaḌne se koi farq
main us ko sach batane ki zahmat na kar saka
aaya jo us ka zikr to main gung rah gaya
aur aa.ine se us ki shikayat na kar saka
baaqi rakhi hai mere lahu ne mata-e-hosh
main ne vafa to ki thi nihayat na kar saka
ab bhi shagufta nuur se hai us ko rabt-e-ḳhas
vo jo mire charagh ki izzat na kar saka
har-chand us gulab pe tashbib khul ga.i
is par bhi main gurez ki himmat na kar saka
‘sajid’ qafas ki tiliyon ko toḌ kar bhi main
is dasht-e-be-kanar men vahshat na kar saka
Leave a Reply