zara socho to mere saath aisa kyuun hua hai
badan TuuTa hua tha paara paara kyuun hua hai
ḳhud apni mauj se begana dariya kyuun hua hai
jo hona hi nahin tha aaj aisa kyuun hua hai
suron par asman Duuba hua hai badalon men
dukhon ki jhiil ka paani bhi gahra kyuun hua hai
ḳhudaya ajizi se main ne manga kya mila kya
asar meri duaon ka ye ulTa kyuun hua hai
ye kaisi raushni hai aur kin rahon se aa.i hai
yakayak meri ankhon men andhera kyuun hua hai
vahan ki ab-ju men tel bahta hai barabar
yahan vaadi men apni ḳhushk dariya kyuun hua hai
kahan ja.enge tujh ko chhoḌ kar ai maan bata de
tiri aghosh men dushvar jiina kyuun hua hai
ye kis ne kar diya do laḳht mujh ko aaj ‘hamdam’
kahan huun main mira saaya akela kyuun hua hai
Leave a Reply