Dayar-E-Ishq Mein Waiz KHirad Ka Kaam Nahin

dayār-e-ishq meñ vaa.iz ḳhirad kā kaam nahīñ

udhar na bhuul ke jaanā vo rāh-e-ām nahīñ

vo sub.h sub.h nahīñ hai vo shaam shaam nahīñ

ki jis meñ un kī taraf se koī payām nahīñ

vo rāh-rau huuñ ki manzil nahīñ qayām nahīñ

talāsh-e-dost meñ kuchh qaid-e-sub.h-o-shām nahīñ

ye kaif-e-ishq hai vaqtī surūr-e-jām nahīñ

tirī tarah mirā nāseh ḳhayāl ḳhaam nahīñ

nigāh-e-qahr kā markaz thā kaun mahfil meñ

huzūr kahte haiñ terā koī maqām nahīñ

ye falsafa ye siyāsat ye hikmat-o-dānish

kahāñ kahāñ mirī ḳhātir kamand-o-dām nahīñ

vo dars dete haiñ aḳhlāq kā ab ai ‘āsī’

salām kījiye jin ko to leñ salām nahīñ

Leave a Comment