ek bhi harf na tha ḳhush-ḳhabari ka likkha
nama-e-vaqt mila aur kisi ka likkha
aa base kitne na.e log makan-e-jan men
bam-o-dar par hai magar naam usi ka likkha
mauja-e-ashk se bhigi na kabhi nok-e-qalam
vo ana thi ki kabhi dard na ji ka likkha
koi jiddat to koi husn-e-taghazzul samjha
marsiya jab bhi koi apni sadi ka likkha
baat shirin si lagi fan ke taraf-daron ko
qissa har-chand ‘hasan’ koh-kani ka likkha
Leave a Reply