• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jinhen Mahfilon Se Gharaz Na Thi Wo Jo Qaid Apne Gharon Mein The

Jinhen Mahfilon Se Gharaz Na Thi Wo Jo Qaid Apne Gharon Mein The

jinhen mahfilon se gharaz na thi vo jo qaid apne gharon men the

vahi e.atibar-e-zamana the vahi log dida-varon men the

hue haath ab to lahu lahu sar-e-chashm andhera hai char-su

kabhi ham bhi a.ina-saz the kabhi ham bhi shisha-garon men the

chali shahr men vo hava-e-zar ki ghubar ban ke ga.e bikhar

vo jo ḳhvab ankhon men the makin vo junun jo apne saron men the

mire muhsinon men hain shahr ke ye tavil-o-ashna raste

kahin aur jaa.e amaan na thi ki ghanim-e-jan to gharon men the

vahi jin ki tegh se ban gaya mira shahr maqtal-e-ḳhun-fishan

sar-e-am dida-e-nam liye vahi log nauhagaron men the

ik udaas basti men vaqt-e-shab main gaya to aise makan the sab

na to khiḌkiyon men the mah-ru na charagh un ke daron men the

sar-e-sham duur fazaon men ye jo aa.ine se chamak uThe

yahi Dhalti dhuup ke rang the ki jo ta.eron ke paron men the

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Gahri Nili Sham Ka Manzar Likhna Hai

poet

Zindagi Ka Jamal Dekha Bhi

Har Ek Qayas Haqiqat Se Dur-Tar Nikla

Aab-Dar-Ab Mere Sath Safar Karte Hain

ahmad-khayal

Zindagi Khauf Se Tashkil Nahin Karni Mujhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet