aks bhi kab shab-e-hijran ka tamashai hai
ek main aap huun ya gosha-e-tanhai hai
dil to rukta hai agar band-e-qaba baaz na ho
chaak karta huun gareban ko to rusvai hai
taqat-e-zabt kahan ab to jigar jalta hai
aah siine se nikal lab pe mire aai hai
main to vo huun ki mire laakh kharidar hain ab
lek is dil se dhadakta huun ki saudai hai
dil-e-betab ‘fughan’ ummat-e-ayyub nahin
na use sabr hai hargiz na shakebai hai
Leave a Reply