• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dil Pe Jo Guzre Hai Mere Aah Main Kis Se Kahun

dil Pe Jo Guzre Hai Mere Aah Main Kis Se Kahun

poet

dil pe jo guzre hai mere aah main kis se kahun

kya karun main ai mire allah main kis se kahun

jab na tum hi hal-e-dil mera kabhi aa kar suno

to ye farmao mujhe, allah main kis se kahun

mere sahib ke zara se rabt par bigden na ghair

ghair se tum se jo kuchh hai raah main kis se kahun

dosto ab kahne sunne se nahin kuchh faeda

vo to mere gham se hai agah main kis se kahun

yuun hi nahaq sar phirate hain mira aa aa ke log

haal apna ai but-e-gumrah main kis se kahun

be-qarari ka sabab apni kahun kis se ‘nizam’

dil pe jo hai sadma-e-jan-kah main kis se kahun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

munawwar-rana

Safed Sach

abul-kalam-azad

Kyun Asir-e-Gesu-e-Kham-dar-e-Qatil Ho Gaya

poet

Ishq Hai Sarsabz Virana Hina

poet

Wahshat Mein Yaad Aae Hai Zanjir dekh Kar

aftab-shakeel

Mausam-e-Hijr Mein Zakhmon Se Lada Rahta Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet