rat-bhar rone ka din tha
phir juda hone ka din tha
fasl-e-gul aane ki shab thi
ḳhushbuen bone ka din tha
tishnagi piine ki shab thi
aabju hone ka din tha
guftugu karne ki shab thi
ḳhamushi dhone ka din tha
qafila chalne ki shab thi
hadsa hone ka din tha
raat ke jangal se aage
chain se sone ka din tha
Leave a Reply