bikharti TuTti shab ka sitara rakh liya main ne
mire hisse men jo aaya ḳhasara rakh liya main ne
hisab-e-dostan karte to harf aata ta.alluq par
uTha rakkha use aur goshvara rakh liya main ne
juda.i to muqaddar thi mujhe ehsas tha lekin
kaf-e-ummid par phir bhi sharara rakh liya main ne
zara si buund jo raushan hai ab tak ḳhalvat-e-dil men
charagh-e-sham tera isti.ara rakh liya main ne
miri ankhon men jo sayyal a.inon ke TukḌe hain
unhin TukḌon pe maqtal ka nazara rakh liya main ne
ḳhushi ḳhairat kar di aur zamane bhar ke ranj o gham
mire dil ko hua jitna gavara rakh liya main ne
miri dariya-dili ne bhar diya kaasa samundar ka
badan par ret hathon men kinara rakh liya main ne
Leave a Reply