vo aa.i sham-e-gham vaqf-e-bala hone ka vaqt aaya
taḌapne loTne ka dam fana hone ka vaqt aaya
unhen apni jafaon par pashemani hui aḳhir
sharik-e-matam-e-ahl-e-vafa hone ka vaqt aaya
udasi har sahar kahti hai mujh se bazm-e-anjum ki
uTh ai gham-dida uTh mahv-e-buka hone ka vaqt aaya
tira milna kise milta hai mamnun-e-muqaddar huun
magar afsos milte hi juda hone ka vaqt aaya
bahar aa.i har ik zarre se phuTi husn ki duniya
fareb-e-ma-siva ke haq-numa hone ka vaqt aaya
qayamat-ḳhez hai husn-e-chaman ai bulbul-e-nalan
tire nalon se phir mahshar bapa hone ka vaqt aaya
miri TuuTi hui kashti thapeḌe mauj-e-tufan ke
ḳhuda-e-pak tere naḳhuda hone ka vaqt aaya
javani ja chuki ‘mahrum’ zauq-e-arzu kaisa
tumhare be-niyaz-e-mudda.a hone ka vaqt aaya
Leave a Reply