• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Ai suKHnawar Tarah Guman Hun Main

Ai suKHnawar Tarah Guman Hun Main

poet

ai suḳhnavar tarah guman huun main

ya faqat harf-e-ra.egan huun main

aks jal bujh ga.e bujha chehra

aa.ine se uTha dhuan huun main

hai mayassar mata-e-tishna-labi

ḳhushk dariya ka pasban huun main

aag se bair dhuup bhi hai adu

aur ik mom ka makan huun main

mushtarak ham men hijraton ki thakan

titliyon ka mizaj-dan huun main

tajarbe ki ghaneri chhanv liye

ek kohna sa sa.eban huun main

kab miTa de mujhe hava ki lakir

rah-rau ret par nishan huun main

kal mira vasf tha tariq-e-suluk

aaj be-nam be-nishan huun main

shahr men harf-e-ashna hi nahin

faiz kya lafz be-karan huun main

jo haqiqat the vo ga.e ‘sabir’

ek mauhum dastan huun main

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hijr Ke Daur Mein Haalat Badal Jate Hain

Hamein Dekha Na Kar uDti Nazar Se

Shahab-Chehra Koi Gum-Shuda Sitara Koi

poet

Hairan Si Hai Bhachak Rahi Hai

quli-qutub-shah

Tuman Raushni Bin Haman Raushni Nah

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet