dard is darja mile zabt men kamil hua main
us ko paane ki talab men kisi qabil hua main
phone par baat hui us se to andaza hua
apni avaz men bas aaj hi shamil hua main
ro ke aksar main hansa hans ke main roya bhi agar
zindagi tujh men to har rang men shamil hua main
zindagi chain ki sab ko hi bhali lagti hai
kaise halat the mere ki jo qatil hua main
dekhna chahunga main tujh ko qarib aur is se
aaj ke ba.ad kabhi ḳhud ko jo hasil hua main
koi samjhe ya na samjhe inhen paḌhne vaala
sher kah kar ye kaThin ḳhud pe hi maa.il hua main
Leave a Reply