jaane kis ki aahaT ka intizar karta hai
TuuT to chuka hai vo dekho kab bikharta hai
zaḳhm chahe jaisa ho ek din to bharta hai
aap so.e hote hain vaqt kaam karta hai
roz chhup ke takta hai pyasi pyasi nazron se
us ke ghar ke aage se dariya jab guzarta hai
dil ka kya karun yaaro manta nahin meri
apne dil ki sunta hai apne man ki karta hai
dil bujha bujha ho to kya bura hai rone men
barishon ke ba.ad anjum asman nikharta hai
Leave a Reply