sitara shaam se nikla hua hai
diya bhi taaq men rakkha hua hai
kahin vo raat bhi mahki hui hai
kahin vo chand bhi chamka hua hai
abhi vo aankh bhi soi nahin hai
abhi vo ḳhvab bhi jaaga hua hai
kisi badal ko chhu kar aa rahi hai
hava ka pairahan bhiga hua hai
zamin be-aks ho kar rah ga.i hai
falak ka aa.ina maila hua hai
ḳhamoshi jhankti hai khiḌkiyon se
gali men shor sa phaila hua hai
hava gum-sum khaḌi hai raste men
musafir soch men Duuba hua hai
koi nindon men ḳhushbu gholta hai
daricha ḳhvab ka mahka hua hai
kisi guzre baras ki Diary men
tumhara naam bhi likkha hua hai
charagh-e-sham ki ankhen bujhi hain
sitara ḳhvab ka TuuTa hua hai
safar ki raat hai ‘nasir’ dilon men
ajab ik dard sa Thahra hua hai
Leave a Reply