bahut bura huun miri jaan bahut bura huun main
ḳhulus dekh mira ḳhud ye kah raha huun main
kuchh ik bura.iyan mujh men azal se Thahri hain
kuchh is zamane men aa kar bura hua huun main
ye sha.iri nahin dar-asl ek parda hai
baghair shor kiye jis men chiḳhta huun main
agar kisi ko milun to mujhe ḳhabar kar de
pata chala hai ki kuchh din se gum-shuda huun main
guzarte vaqt ki aadat hai sab badal dena
jahan kabhi main ziyada tha ab zara huun main
mujhe samajhna bhala sab ki dastaras men kahan
koi kahani main thoḌi huun falsafa huun main
zara sa vaqt hai phir vaqt hi bata.ega
ki sach men kaun huun kaisa huun aur kya huun main
Leave a Reply