shauq se dil ko tah-e-tegh-e-nazar hone do
jis taraf us ki tabiat hai udhar hone do
dil ki kya asl hai patthar bhi pighal jaenge
ai buto tum mire nalon men asar hone do
ghair to rahte hain din raat tumhare dil men
kabhi is ghar men hamara bhi guzar hone do
naseho ham to kharidenge mata-e-ulfat
tum ko kya faeda hota hai zarar hone do
valvale agli mohabbat ke kahan se laaen
aur paida koi dil aur jigar hone do
chhedne ko mire darban kaha karte hain
thahro jaldi na karo un ko khabar hone do
kyuun maza dekh liya dil ki kashish ka tum ne
ham na kahte the mohabbat men asar hone do
ai shab-e-vasl-o-shab-e-aish-e-javani thahro
main bhi hamrah tumhare huun sahar hone do
ranj o rahat hai bashar hi ke liye ai ‘jauhar’
vo bhi din dekh liye yuun bhi basar hone do
Leave a Reply