jab se be-nur hui hain shamen
khaak men dhundhta phirta huun na jaane kis ja
kho gai hain miri donon ankhen
tum jo vaqif ho batao koi pahchan miri
is tarah hai ki har ik rag men utar aaya hai
mauj-dar-mauj kisi zahr ka qatil dariya
tera arman, tiri yaad liye jaan miri
jaane kis mauj men ghaltan hai kahan dil mera
ek pal thahro ki us paar kisi duniya se
barq aae miri janib yad-e-baiza le kar
aur miri ankhon ke gum-gashta guhar
jam-e-zulmat se siyah-mast
nai ankhon ke shab-tab guhar
lauta de
ek pal thahro ki dariya ka kahin paat lage
aur naya dil mera
zahr men dhul ke, fana ho ke
kisi ghaat lage
phir pae-nazr nae diida o dil le ke chalun
husn ki madh karun shauq ka mazmun likkhun
Leave a Reply