gham-e-jahan ke fasane talash karte hain
ye fitna-gar to bahane talash karte hain
rabab-e-amn-o-sukun ke hasin taron men
shikast-e-dil ke tarane talash karte hain
ye intiha hai junun-e-has-parasti ki
parae ghar men khazane talash karte hain
nae nizam ki buniyad todne vaale
vafa-shiar purane talash karte hain
sitam-navaz dilon ko jo sazgar na ho
‘shakil’ ham vo zamane talash karte hain
Leave a Reply