kaḌa hai din baḌi hai raat jab se tum nahin aa.e
digar-gun hain mire halat jab se tum nahin aa.e
lagi rahti hai ashkon ki jhaḌi garmi ho sardi ho
nahin rukti kabhi barsat jab se tum nahin aa.e
na ki jaati hai auron se mulaqat ek lamhe ko
na ho paati hai ḳhud se baat jab se tum nahin aa.e
pata chalta nahin tha sa.aton ka jab tum aate the
guzarte hain garan lamhat jab se tum nahin aa.e
na ghar vaale na ham-sa.e na ahbab-o-a.izza hain
ye dil hai ya ḳhuda ki zaat jab se tum nahin aa.e
Leave a Reply