• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Jo Mauj KHushbuon Ki Thi Gulab Se Nikal Gai

Jo Mauj KHushbuon Ki Thi Gulab Se Nikal Gai

jo mauj ḳhushbuon ki thi gulab se nikal ga.i

main muzmahil thi is qadar shabab se nikal ga.i

ye zindagi ye ruḳhsati usi ki hain amanaten

shikasta jism men tire azaab se nikal ga.i

main likh rahi thi dastan tira bhi naam aa gaya

kahani apne aap hi kitab se nikal ga.i

vo lams baḌh raha tha ab qarib se qarib-tar

so main ne faisla kiya habab se nikal ga.i

sharik dauḌ men hue safar bhi aur qayam bhi

to raḳhsh-e-vaqt main tiri rikab se nikal ga.i

saval ka javab bhi saval hi se dega tu

jhamela-saz main tire sarab se nikal ga.i

main mubtala-e-arzu thi aarzu se jaag uThi

aur agle pal hi zindagi hisab se nikal ga.i

nirash chand tirgi men ghul ke shant ho gaya

‘sahar’ main niind men chali to ḳhvab se nikal ga.i

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nashat-E-Kar Se Mahrum Hi Sahi Hum Bhi

Chehra Dekhen Tere honT Aur Palken Dekhen

Koi Bahaar Ki KHatir Koi KHizan Ke Liye

Dekhun to Mere Dil Mein Utarta Hai Ziyaada

Ye Chand Jo Bachchon Ka Khilauna Hai Meri Dost

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet