tum munh laga ke ghairon ko maghrur mat karo
lag chalna aise deson se dastur mat karo
tasve baha ke har ghadi zaari nahin hai khuub
ye raz-e-ishq hai use mashhur mat karo
har-chand dil dukhana kisi ka bura hai par
ranjida khatiron ko to ranjur mat karo
ai hamdamo jo mujh se hai manzur ikhtilat
juz zikr-e-yar tum koi mazkur mat karo
raushan rakho jahan men maula misal-e-mehr
chanda ke munh se nuur ko tum duur mat karo