ghubar-e-vaqt ke gar ar-par dekhiyega
to ek pal men mira shahsavar dekhiyega
main ek baar use pherunga apni gardan par
aur aap bas mire khanjar ki dhaar dekhiyega
kisi ka naqsh nahin bandhi.yega ankhon men
jise bhi dekhiye aina-var dekhiyega
kabhi na laut ke aenge aap janta huun
par aaiye to mira intizar dekhiyega
na dastaken na sada kaun dar pe aaya hai
faqir-e-shahr hai ya shahryar dekhiyega
Leave a Reply