maut ilaj-e-gham to hai maut ka aana sahl nahin
jaan se jaana sahl sahi jaan ka jaana sahl nahin
hamdardi hamdardi men jaan hi le kar Talte hain
in zalim ham-dardon se jaan chhuḌana sahl nahin
barq bhi girti hai aksar ḳhirman bhi jalte hain magar
apne hathon ḳhirman ko aag lagana sahl nahin
gham ke khane valon ko kha jaata hai gham aḳhir
gham ka khana mushkil hai gham ka khana sahl nahin
dava-e-majzubiyat kya mujh se kare mansur ‘vafa’
bak uThna hai sahl magar bakte jaana sahl nahin
Leave a Reply