ye kya ki gali men tira aana nahin hota
is darja satana bhi to achchha nahin hota
ham shahr-e-mohabbat men karen laakh charaghan
jab tak na jale dil to ujala nahin hota
ham-zad mira saath mire rahta hai har-dam
jab saath vo hota hai to phir kya nahin hota
fitrat men hai dariya bhi samundar ke barabar
ye baat alag hai ki vo gahra nahin hota
asbab ki muhtaj nahin raushni dil ki
bujh jaa.e diya tab bhi andhera nahin hota
barson ki ravani pe hai mauquf ye vus.at
dariya koi do din men to dariya nahin hota
rahti hain mire saath tiri yaden bhi ‘aqib’
main room men apne kabhi tanha nahin rahta
Leave a Reply