tire bimar ki shayad vida-e-jan hai tan se
janaze ki vagarna vaan hai tayyari ka kya baais
kahin vaqt-e-khitab ai yaar apne munh se nikla tha
laga kahne ki mujh men aap men yaari ka kya baais
mariz apne ko dekha aah khuun aluda kya kya the
na tha gar dard dil men nala-o-zari ka kya baais
nahin kuchh zor se leta koi dil do na do ‘mamnun’
ye majburi ka kya maujib ye na-chari ka kya baais
mire siine men gar atish-kada pinhan nahin zalim
fughan o aah se har dam sharar-bari ka kya baais
tasavvur chashm-e-khuban ka muqarrar tum ko rahta hai
vagarna hazrat-e-dil itni bimari ka kya baais
hua jab kaam apna kaam dil jab puchhne aae
mujhe gham kha chuka ab meri gham-khvari ka kya baais
ajab divangi hai koi bhi yuun dil phansata hai
bahut daana the tum ‘mamnun’ giraftari ka kya baais
Leave a Reply