• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain

DhunD Len Hum Ko Hamari Jo KHabar Rakhte Hain

poet

DhunD len ham ko hamari jo ḳhabar rakhte hain

ham ko dekhen vo agar husn-e-nazar rakhte hain

vaqif-e-rah hain manzil ki ḳhabar rakhte hain

kuchh samajh soch ke ham azm-e-safar rakhte hain

aankh ko vaqf-e-sar-e-rahguzar rakhte hain

ḳhaak hone ke liye zauq-e-nazar rakhte hain

ishq aur ishq men ik shan-e-asar rakhte hain

husn ki aankh mohabbat ki nazar rakhte hain

ab vo ankhon se samajh lete hain hasrat dil ki

chashm-e-bad-dur nigahon pe nazar rakhte hain

un ke jalvon ki haqiqat to unhin se puchho

ham to bijli ke chamakne ki ḳhabar rakhte hain

ik kashish hai ki jo khinche liye jaati hai hamen

varna divane bhi manzil ki ḳhabar rakhte hain

dur-andeshi-e-ulfat ne kiya hai mohtat

ham nigahon men tiri rahguzar rakhte hain

ek markaz pe simaT aa.i hai duniya-e-jamal

kis ki tasvir ko ham pesh-e-nazar rakhte hain

dil-lagi ishq ki hai husn ka sanjida mazaq

ham ko dhoka hai ki ham dard-e-jigar rakhte hain

dekh lenge tire jalve bhi jo fursat hogi

ham abhi dil ki tajalli pe nazar rakhte hain

adab-e-husn hai varna ye mohabbat vaale

sehr ankhon men ḳhayalon men asar rakhte hain

aaj kis bazm men le aa.i hai taqdir ‘munir’

ki farishte bhi mire samne sar rakhte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Karen Hijrat to KHak-E-Shahr Bhi Juz-Dan Mein Rakh Len

tanveer-anjum

Hum donon Mein Se Ek

siraj-aurangabadi

Bhara Kamal-E-Wafa Sen Khayal Ka Shisha

poet

Be-Waqt Jo Ghar Se Wo Masiha Nikal Aaya

Sufi

Juzw-O-Kul Ka Hum Is Andaz Se Rishta Samjhe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet