• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Khizan Mausam Nahin Hai

Khizan Mausam Nahin Hai

pirzada-qasim

khizan mausam nahin hai

ek lamha hai ki jis ki aarzu men

sabz patte

hava ki ahaton par kaan dharte hain

guzarte vaqt men saat-ba-saat

nae pairahanon men

gulabi aur gahre surkh unnabi

dahakte khushnuma rangon se le kar zard hone tak

kabhi dhime kabhi unche suron men baat karti

khushbuon men bas-basa kar

hava ke saath mahv-e-raqs hona chahte hain

zamin ka rizq ban jaane se pahle

vahi ik ajnabi varaftagi aur raqs ka lamha

kahin par daur-e-ainda ke mausam ki samaat men

kisi soe hue ik biij men

khvahish numu ki sar uthati hai

bahut hi pyaar se har shakh ke patte se kahti hai

ki ab rizq-e-zamin ban kar

kisi ik narm konpal ki numu ka aasra ban ja

khizan mausam nahin hai

ik masarrat-khez takhliq-e-amal ka aasra hai

Filed Under: Nazm Tagged With: Top Rated Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

ahmad-khayal

Qayamat Se Qayamat Se Guzare Ja Rahe The

Jab Sham Hui Maine Qadam Ghar Se Nikala

poet

Aap Aae The Yan Jafa Ke Liye

Hikayat-E-Husn-E-Yar Likhna Hadis-E-Mina-O-Jam Kahna

rafia-shabnam-abidi

May Ka Aag Lagata Hua Mahina Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet