bujha charagh havaon ka samna kar ke
bahut udaas hua huun daricha va kar ke
sukut TuuT gaya aur raushni si hui
sharar sang se nikla ḳhuda ḳhuda kar ke
khula na din ko kisi ism se vo ahani dar
ab aao dekhte hain raat ko sada kar ke
uḌunga ḳhaak sa pahle-pahal aur aḳhir-e-kar
hava-e-tund ko rakh dunga main saba kar ke
vo jis ke bojh se ḳham bhi na thi hamari kamar
ham aaj aa.e hain vo qarz bhi ada kar ke
Leave a Reply