ajiib lagta hai yunhi bichha hua bistar
ye ek umr se ḳhali paḌa hua bistar
suna raha hai kahani hamen makinon ki
makan ke saath ye aadha jala hua bistar
na-jane kaun sa lamha bina-e-hijrat ho
main kholta hi nahin huun bandha hua bistar
udasiyan na shikan-dar-shikan nazar atin
tire vajud se hota bhara hua bistar
uḌa raha hai hamari mohabbaton ka mazaq
ye ek-duje se haT kar kiya hua bistar
Leave a Reply