khayal-o-khvab se ghar kab talak sajaen ham
hai ji men ab to ki ji khud se bhi uthaen ham
ajiib vahshaten hisse men apne aai hain
ki tere ghar bhi pahunch kar sakun na paaen ham
anis-e-jan to hain ye khush-qadan chinar magar
adaen teri unhen kis tarah sikhaen ham
vo ghar to jal bhi chuka jis men tum hi tum the kabhi
ab us ki raakh se duniya nai basaen ham
suna rahe hain dukhon ki kahaniyan kab se
bas ab to dhyan ki naddi men duub jaaen ham
har ek samt pahadon ka silsila hai yahan
hamara haal hai kya ye kise sunaen ham
Leave a Reply