tujh se nazar mila kar divana ho gaya main
kuchh raaz ban gaya kuchh afsana ho gaya main
apne liye bahaya ḳhun-e-jigar to kya gham
tere liye to rangin afsana ho gaya main
haan ab uTha rahe ho divana-var nazren
jab tum se tang aa kar divana ho gaya main
ye soch kar ki shayad parvana-var aao
afsurda sa charagh-e-gham-ḳhana ho gaya main
haT kar ghamon se akasr Thukra diya ghamon ko
akasr ghamon se ghuT kar divana ho gaya main
teri nazar men rah kar ik raaz ban gaya tha
gir kar tiri nazar se afsana ho gaya main
ik baar aur dekha hasrat se un ki janib
phir rafta rafta un se begana ho gaya main
ab to miri ḳhamoshi sab kah chuki hai tum se
ab to suna-sunaya afsana ho gaya main
hai kaal an.suon ka kyuun chashm-e-gham men ‘jazbi’
kis rind-e-tishna-lab ka paimana ho gaya main
Leave a Reply