gul ka kiya jo chaak gareban bahar ne
dast-e-junun lage mire kapde utarne
chhoda kahin na mujh ko nasim-e-bahar ne
kunj-e-qafas men bhi mujhe aai ubharne
ab dil ki laaj mashq-e-tasavvur ke haath hai
shisha men us pari ko chala hai utarne
saaqi to saaqi bada-paraston ke paanv par
sajde karae laghzish-e-mastana-var ne
ab to nazar men daulat-e-kaunain hech hai
jab tujh ko pa liya dil-e-ummid-var ne
chashm-e-ada-shanas ko hairan kar diya
husn apna zarre zarre men dikhla ke yaar ne
‘bedam’ tumhari ankhen hain kya arsh ka charagh
raushan kiya hai naqsh-e-kaf-e-pa-e-yar ne
Leave a Reply